Gareeb ke jeene marne ki chinta,
Bhala aajkal kon karta hai,
Aise achanak lockdown ki ghoshna se,
Sabse pehle garib hi toh marta hai.Aise pareshani ke palon mein,
Mrityu ki chinta kise hoti hai,
Hamari sarkar se apeel toh bass,
Pet bharne k liye 2 waqt ki roti hai.
Bhala aajkal kon karta hai,
Aise achanak lockdown ki ghoshna se,
Sabse pehle garib hi toh marta hai.Aise pareshani ke palon mein,
Mrityu ki chinta kise hoti hai,
Hamari sarkar se apeel toh bass,
Pet bharne k liye 2 waqt ki roti hai.
Kuch log ilake me aaye the kal,
Dekh shayad hamari duvidha ko,
Jab camera dekhe, tab ehsas hua,
Wo aaye the apni suvidha ko.
Aaye the woh asthaayee jhopde mein hamare,
Thailiyon mein Lekar biscuits, roti aur daal,
Ek aas uthi thi mann mein,
Shayad ye puchenge hum garibon ka haal.
Sharmnak manzar chalta raha,
Dukh se maine aakhen meech li,
Majboot thi unki pakad- chuti na thaili,
Jab tak 10 photo unhone na kheech li.
Decided to pen down these few lines to address the way many self sufficient people showcase their contribution towards the poor & needy just for posting on social media these days.